I wrote and composed this song, its bit unclear, as i recorded it with my laptop ... capture interface for guitar input and microphone for vocals. The end solo is d minor arpegio. There is a video too on the site.
Story behind the song
Testimonial for a friend
Lyrics
Wakya
woh wakya kuch ajeeb tha, jab kisi ne kafir ko soti neend se jagaya,
woh lamha kuch ajeeb tha, jab kisi ne kafir ko phir se yaad kiya,
shayad us waqt, koi bichara yaar us kafir par merherban tha,
shayad uski sachiyon main dum tha, jo kafir ke sach se kahin jayda meetha tha,
shayad uski dosti main apana pan tha, jo kafir ne phele kabhi dekha na tha,
shayad uski jindagi kafi gulzar thi, lekin kafir ko apni se badi shikayat thi,
shayad uski soch alag thi, lekin kafir ke pass shabdon ki kami thi,
shayad uski mehfil falak ke sitaron se sazi thi, lekin kafir buldandiyon se kafi door tha,
shayad uski jindagi haseen jhalikiyan thi, lekin kafir ko bete kal main jeene ke adat thi,
shayad uski kalpana, uske sapno ki tarah roshan thi, lekin kafir ko chipane ki zid thi,
shayad uske aks main kisika noor tha, shayad woh khuda ki khoobsurat tasveer thi,
shayad uski ankon main itni mohabbat thi, jo kafir ki khudai main bhi nahi thi,
woh wakya kuch ajeeb tha, jab kisi ne kafir ko soti neend se jagaya,
woh lamha kuch ajeeb tha, jab kisi ne kafir ko phir se yaad kiya,